Header Ads Widget

Ticker

6/recent/ticker-posts

Web Design Kaise Sikhe-Full Guide In Hindi



વોટ્સએપ ગ્રુપમાં જોડાવા ➙

ક્લિક કરો

Web Design Kaise Sikhe-Full Guide In Hindi

Web design ek aisa way hai jisse ap kam time me lakho rupaye kama sakte ho aur ane wale time me web designer ki mang duniya me badhane vali hai kyu ki aj ka jyadatar work online hi hota hai,agar apko bhi web design me interest hai to mera apko suggestion hai ap isme hi apna career banaye aur is post me apko web designing ki kya hai iske bare me basic jankari dunga.

Web Designing Kya Hai?

Jaise koi builder ka work ek achhi building banane ka hota hai isi tatah  web designer ka kam website  banane ka hota hai

Web design me website ke structure ko pahle banaya jata hai aur iske bad website jis topic se related hai uske anusar usme information add ki jati hai

Web designing ke 2(two) part hote hai:

1)Front End Web Designing

2)Back End Web Development

1)Front End Web Designing Kya Hai?

Is part me website ka look kaisa hona chahiye us par hi dhyan diya jata hai,
Jaise koi bike banane vali company me front end designer ka kam sirf bike ko sundar look dena ka hota hai isi tarah front end web designer ka kam sirf website ko sundar look dene ka hota hai

Isme sirf yahi khyal rakha jata hai ki koi visitors site par aye tab use site ka look achha lage.

2)Back End Web Development Kya Hai?

Back end web development website ke data se related hai,jaise ham facebook me apna account banane ke liye form me jo information bharate hai wo yaha save hoti hai

Back end web design ko website ka C.P.U kaha jata hai kyuki web ka sara data yaha store hota hai
Web designer banane ke liye ye dono part ko sikhna bahut jarurui hai

Ek Professional Web Designer Kaise Bante Hai?

Professional web designer banane ke liye sabase pahle Front End Back Design ko sikhe aur iske bad Back End Web Developer ko sikhe

Front End Web Design Ko Kaise Sikhe?

Front end web design ko sikhane ke liye Photoshop basic,HTML,CSS,JavaScript ko sikhna jaruri hai

1)Photoshop Basic

Web designer banane ke liye photoshop basic ko sikhna bahut jaruri hai,kyuki isme hi website ka graph banaya jata hai aur website ka look kaisa hoga uska pata photoshop me padta hai

2)HTML

HTML yani hyper text markup language.kisi bhi website ka structure html me hi banta hai,HTML ek language hai jisko coding me likhi jati hai

3)CSS

CSS yani cascading style sheet.HTML structure ko design karne ke liye CSS language sikhani bahut important hai

4)JavaScript

JavaScript ek programming language hai,Website ko interactive banane ke liye JavaScript bahut jaruri hai
JavaScript ye tay karta hai ki koi visitors ne website par kya select kiya hai iske hisab se wo action leke visitors ko yaha tak pahuchata hai.

Example:Agar koi visitors ne apki site par menu ke option me click kiya aur uske bad niche jo drop down menu open hote hai usko JavaScript open karta hai

Apne uper diye gaye 4 topics ko sikh liya tab bhi apko ek professional IT company me asani se job prapt kar sakte ho

Back End Web Development Ko Kaise Sikhe?

Back end web development ko sikhne ke liye PHP aur DataBase language ko sikhna bahut jaruri hai

1)PHP

World ki no.1 social networking site facebook PHP language par banayi gayi hai

PHP language sikhane se ap thode paiso me website bana sakte ho aur ap WordPress me blog banana chahte hai to apko PHP language sikhani hi hogi

2)DataBase

Koi bhi website ka data database me store hota hai,jab ham youtube ya kisi aur website me jo video dekhate hai uska data yaha store yani ki save hota hai

Sabase jyada use honewala database MYSQL hai aur koi bhi website me data store karwane ke liye DataBase sikhna bahut jaruri hai

Professional Web Designer Banane Ke Liye Below Step Follow Kare

1)Ek professional web designer banane ke liye sabase pahle ap HTML language ko sikhna suru kare sath me photoshop basic bhi sikhe

2)HTML ko sikhne ke bad CSS language sikhna suru kare aur daily HTML/CSS ka use karke apni website me kuch naya kariye

3)HTML/CSS complete karne ke bad JavaScript sikhne ki suruat kare
4)JavaScript ke basic knowledge ko janne ke bad PHP language ko sikhna suru kare

4)Ab WordPress me free blog create karke usme PHP language ka use kare

5)Last,me PHP aur DataBase ka use karke new projects develop kijiye

Agar,ap ye step follow karoge to thode time me ek professional web designer ban jaoge,uske bad ap online work karke ya phir kisi company me job karke monthly lakho rupaye kama sakte ho

I hope apko ye post pasand ayi hai aur use social media me share karna na bhule aur web design se related koi sawal hai to ap muje comment karke puch sakte ho.

Source: Prahladbhai K. Thakor